koi majnun koi ranjha koi farhad nahin
koī majnūñ koī rāñjhā koī farhād nahīñ
jis tarah maiñ huā aisā koī barbād nahīñ
maiñ ne ījād kiyā hai ye mirā tarz-e-junūñ
fan-e-vahshat meñ mirā koī bhī ustād nahīñ
har mohabbat kī misāleñ nahīñ bantīñ pāgal
maiñ bhī shahzād nahīñ tū bhī parī-zād nahīñ
'ishq kī qaid se chhūTā huā koī laḌkā
yaar āvāra to ho saktā hai āzād nahīñ
phuul to duur dukānoñ kā kirāya nikle
'ishq vāloñ kī yahāñ itnī bhī tā'dād nahīñ
koi majnun koi ranjha koi farhad nahin
jis tarah main hua aisa koi barbaad nahin
main ne ijad kiya hai ye mera tarz-e-junun
fan-e-wahshat mein mera koi bhi ustad nahin
har mohabbat ki misalen nahin bantin pagal
main bhi shahzad nahin tu bhi pari-zad nahin
'ishq ki qaid se chhuTa hua koi laDka
yar aawara to ho sakta hai aazad nahin
phul to dur dukanon ka kiraya nikle
'ishq walon ki yahan itni bhi ta'dad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.