koi mujh mein ye aksar puchhta hai
koī mujh meñ ye aksar pūchhtā hai
mujhe āḳhir kahāñ rakkhā huā hai
hai saarā khel in āñkhoñ ke ghar meñ
haqīqat meñ jo bāhar dikh rahā hai
khulī hai ek khiḌkī sī badan meñ
vahīñ se ye nazāra ho rahā hai
barahna peḌ bhī poshāk meñ haiñ
tumheñ dikhtā nahīñ har sū havā hai
rukāvaT rāste meñ kuchh nahīñ hai
yuuñ hī kuchh der manzar dekhnā hai
na hī dariyā samundar aabjū se
hameñ to apne jal se vāsta hai
isī Thahrāv meñ ye chal chalāo
agar dekho to rasta mil gayā hai
ham apnī hijratoñ meñ mar rahe haiñ
vo apnī qaid meñ kaise jiyā hai
ye duniyā hai ise paanā nahīñ hai
ise bas dekhnā hai dekhnā hai
kisī 'ādil kisī ‘masto’ ke dil meñ
chale aao yahī qābil jagah hai
koi mujh mein ye aksar puchhta hai
mujhe aaKHir kahan rakkha hua hai
hai sara khel in aankhon ke ghar mein
haqiqat mein jo bahar dikh raha hai
khuli hai ek khiDki si badan mein
wahin se ye nazara ho raha hai
barahna peD bhi poshak mein hain
tumhein dikhta nahin har su hawa hai
rukawaT raste mein kuchh nahin hai
yun hi kuchh der manzar dekhna hai
na hi dariya samundar aabju se
hamein to apne jal se wasta hai
isi Thahraw mein ye chal chalao
agar dekho to rasta mil gaya hai
hum apni hijraton mein mar rahe hain
wo apni qaid mein kaise jiya hai
ye duniya hai ise pana nahin hai
ise bas dekhna hai dekhna hai
kisi 'adil kisi ‘masto’ ke dil mein
chale aao yahi qabil jagah hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 72)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.