Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi patthar hi kisi samt se aaya hota

Raj Narayan Raaz

koi patthar hi kisi samt se aaya hota

Raj Narayan Raaz

MORE BYRaj Narayan Raaz

    koī patthar kisī samt se aayā hotā

    peḌ phaldār maiñ ik rāhguzar hotā

    apnī āvāz ke jaadū pe bharosā karte

    mor jo naqsh thā dīvār pe nāchā hotā

    ek pal ko Thaharnā thā muñDeroñ pe tirī

    shaam dhuup huuñ maiñ kaash ye jaanā hotā

    ek naqsh se sau aks numāyāñ hote

    kuchh salīqe se alfāz ko bartā hotā

    lazzateñ qurb ai 'rāz' hamesha rahtīñ

    shāḳh-e-sandal se koī saañp lipTā hotā

    koi patthar hi kisi samt se aaya hota

    peD phaldar main ek rahguzar ka hota

    apni aawaz ke jadu pe bharosa karte

    mor jo naqsh tha diwar pe nacha hota

    ek hi pal ko Thaharna tha munDeron pe teri

    sham ki dhup hun main kash ye jaana hota

    ek hi naqsh se sau aks numayan hote

    kuchh saliqe hi se alfaz ko barta hota

    lazzaten qurb ki ai 'raaz' hamesha rahtin

    shaKH-e-sandal se koi sanp hi lipTa hota

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi patthar hi kisi samt se aaya hota Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now