koi sawal na puchha dua pe chhoD diya
koī savāl na pūchhā du'ā pe chhoḌ diyā
jo kaam thā mirā vo bhī ḳhudā pe chhoḌ diyā
hameñ ḳhabar thī vo chāhe to saath de apnā
isī gumān meñ sab kuchh vafā pe chhoḌ diyā
charāġh dil meñ jalāyā thā us kī yādoñ kā
phir us ke baa'd use ḳhud havā pe chhoḌ diyā
bahut dinoñ se gila bhī na lab pe aayā hai
tamām bojh anā kā anā pe chhoḌ diyā
yahī sabab hai ki kahte haiñ log be-parvā
ki dil kā haal kisī kī razā pe chhoḌ diyā
gila vafā kā kareñ bhī to kis tarah āḳhir
ki ham ne dil bhī kisī bevafā pe chhoḌ diyā
koi sawal na puchha du'a pe chhoD diya
jo kaam tha mera wo bhi KHuda pe chhoD diya
hamein KHabar thi wo chahe to sath de apna
isi guman mein sab kuchh wafa pe chhoD diya
charagh dil mein jalaya tha us ki yaadon ka
phir us ke ba'd use KHud hawa pe chhoD diya
bahut dinon se gila bhi na lab pe aaya hai
tamam bojh ana ka ana pe chhoD diya
yahi sabab hai ki kahte hain log be-parwa
ki dil ka haal kisi ki raza pe chhoD diya
gila wafa ka karen bhi to kis tarah aaKHir
ki hum ne dil bhi kisi bewafa pe chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.