Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha

Tanweer Gauhar

koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha

Tanweer Gauhar

MORE BYTanweer Gauhar

    koī shikva thā shikāyat thī gilā thā kyā thā

    us ne jo kaan meñ chupke se kahā thā kyā thā

    bhuul kuchh mujh se huī thī ki ḳhatā us thī

    jo sabab tark-e-ta.alluq banā thā kyā thā

    sochtā huuñ vo thā dīvāna ki thā saudā.ī

    pyaar meñ ne jo ik naam diyā thā kyā thā

    bārhā phone pe us ne jo kahā thā mujh se

    sāmne kyuuñ vo mire kah na sakā thā kyā thā

    aaj tak bhī na samajh paayā maiñ āñkhoñ meñ tirī

    makr-e-rañgīñ thā ki phir rañg-e-vafā thā kyā thā

    thā agar ġhair mujhe chhoḌ ke jaane vaalā

    kyuuñ ga.ī raat maiñ phir so na sakā thā kyā thā

    us guftār meñ laġhzish thī nigāheñ bechain

    us āñkhoñ meñ koī raaz chhupā thā kyā thā

    kyuuñ vo maġhrūr sar-e-bazm khaḌā thā 'gauhar'

    us fitrat thī ki daulat nasha thā kyā thā

    koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha

    us ne jo kan mein chupke se kaha tha kya tha

    bhul kuchh mujh se hui thi ki KHata us ki thi

    jo sabab tark-e-talluq ka bana tha kya tha

    sochta hun wo tha diwana ki tha saudai

    pyar mein tu ne jo ek nam diya tha kya tha

    barha phone pe us ne jo kaha tha mujh se

    samne kyun wo mere kah na saka tha kya tha

    aaj tak bhi na samajh paya main aankhon mein teri

    makr-e-rangin tha ki phir rang-e-wafa tha kya tha

    tha agar ghair mujhe chhoD ke jaane wala

    kyun gai raat main phir so na saka tha kya tha

    us ki guftar mein laghzish thi nigahen bechain

    us ki aankhon mein koi raaz chhupa tha kya tha

    kyun wo maghrur sar-e-bazm khaDa tha 'gauhar'

    us ki fitrat thi ki daulat ka nasha tha kya tha

    Source:

    Sulagti Barf (Pg. 63)

    • Author: Tanweer Gauhar
      • Edition: 2011
      • Publisher: Tanweer Gauhar
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now