koi surat KHat-e-idrak par aai nahin hai
koī sūrat ḳhat-e-idrāk par aa.ī nahīñ hai
abhī tak apnī miTTī chaak par aa.ī nahīñ hai
jo mauj-e-ḳhūñ humaktī hai azal se qā’r-e-dil meñ
abhī tak dīda-e-namnāk par aa.ī nahīñ hai
masāfat meñ hamāre ham-safar Thahre bagūle
zarā sī gard bhī poshāk par aa.ī nahīñ hai
use qarnoñ zamāna oḌh kar phirtā rahā hai
shikan bhī chādar-e-aflāk par aa.ī nahīñ hai
samundar karb kā yuuñ to bahut biphrā huā thā
thakan lekin abhī pairāk par aa.ī nahīñ hai
gumān-e-hast kyā hotā ki jab ham ko yaqīñ thā
ki apnī ḳhaak ab tak ḳhaak par aa.ī nahīñ hai
dar-o-dīvār par vīrāniyāñ qaa.em haiñ 'at.har'
numū kī rau vujūd-e-tāk par aa.ī nahīñ hai
koi surat KHat-e-idrak par aai nahin hai
abhi tak apni miTTi chaak par aai nahin hai
jo mauj-e-KHun humakti hai azal se qa’r-e-dil mein
abhi tak dida-e-namnak par aai nahin hai
masafat mein hamare ham-safar Thahre bagule
zara si gard bhi poshak par aai nahin hai
use qarnon zamana oDh kar phirta raha hai
shikan bhi chadar-e-aflak par aai nahin hai
samundar karb ka yun to bahut biphra hua tha
thakan lekin abhi pairak par aai nahin hai
guman-e-hast kya hota ki jab hum ko yaqin tha
ki apni KHak ab tak KHak par aai nahin hai
dar-o-diwar par viraniyan qaem hain 'athar'
numu ki rau wujud-e-tak par aai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.