koi talash adhuri si rah gai mujh mein
koī talāsh adhūrī sī rah ga.ī mujh meñ
khaTak rahī hai kisī baat kī kamī mujh meñ
kahāñ hai sahl kisī lafz kā ravāñ honā
Thahar ga.ī hai baḌī saḳht ḳhāmushī mujh meñ
safar kī rasm nibhāne ko chal rahā huuñ maiñ
vagarna tāb-e-safar ab kahāñ bachī mujh meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb pe kaa.ī sī jam ga.ī āḳhir
azal se Thahrī huī hai koī nadī mujh meñ
'ajīb rang rahā dil ke kār-ḳhāne kā
na raushnī hī salāmat na tīrgī mujh meñ
vo āsmāñ huuñ ki mātam nasīb hai jiskā
sitāre roz hī karte haiñ ḳhud-kushī mujh meñ
vo ek baar mire sāhiloñ pe utrā thā
phir us ke baa'd faqat ret rah ga.ī mujh meñ
koi talash adhuri si rah gai mujh mein
khaTak rahi hai kisi baat ki kami mujh mein
kahan hai sahl kisi lafz ka rawan hona
Thahar gai hai baDi saKHt KHamushi mujh mein
safar ki rasm nibhane ko chal raha hun main
wagarna tab-e-safar ab kahan bachi mujh mein
KHayal-o-KHwab pe kai si jam gai aaKHir
azal se Thahri hui hai koi nadi mujh mein
'ajib rang raha dil ke kar-KHane ka
na raushni hi salamat na tirgi mujh mein
wo aasman hun ki matam nasib hai jiska
sitare roz hi karte hain KHud-kushi mujh mein
wo ek bar mere sahilon pe utra tha
phir us ke ba'd faqat ret rah gai mujh mein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 110)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.