Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to baat hai yarab hawa-e-ku-e-jaanan mein

Safdar Mirzapuri

koi to baat hai yarab hawa-e-ku-e-jaanan mein

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    koī to baat hai yārab havā-e-kū-e-jānāñ meñ

    asīroñ ko zarā taskīn ho jaatī hai zindāñ meñ

    yahāñ ḳhaak ḳhūn-e-be-gunah rang laatī hai

    zarā dāman bachā kar aa.iye gor-e-ġharībāñ meñ

    ye qad buuTā gul se gaal āñkheñ nargis-e-shahlā

    javānī tum pe kyā aa.ī bahār aa.ī gulistāñ meñ

    zamāne do-rañgī dekh kar jaltā hai kaisā

    ki shabnam ro rahī hai phuul hañste haiñ gulistāñ meñ

    jo dekho ġhaur se to chaar din zindagī kyā hai

    faqat haiñ chand sāñseñ aur kyā rakhā hai insāñ meñ

    na rotā hai kisī ke haal par koī na hañstā hai

    baḌe ārām se sote haiñ sab gor-e-ġharībāñ meñ

    sitam-ījād kis kis ko tire darbāñ jagā.eñge

    mirī taqdīr bhī sotī hai mere saath zindāñ meñ

    kareñge sajde jhuk jhuk kar butoñ ke pūjne vaale

    sanam-ḳhāne lutf āye.gā 'safdar' mere dīvāñ meñ

    koi to baat hai yarab hawa-e-ku-e-jaanan mein

    asiron ko zara taskin ho jati hai zindan mein

    yahan ki KHak KHun-e-be-gunah ka rang lati hai

    zara daman bacha kar aaiye gor-e-ghariban mein

    ye qad buTa sa gul se gal aankhen nargis-e-shahla

    jawani tum pe kya aai bahaar aai gulistan mein

    zamane ki do-rangi dekh kar jalta hai ji kaisa

    ki shabnam ro rahi hai phul hanste hain gulistan mein

    jo dekho ghaur se to chaar din ki zindagi kya hai

    faqat hain chand sansen aur kya rakha hai insan mein

    na rota hai kisi ke haal par koi na hansta hai

    baDe aaram se sote hain sab gor-e-ghariban mein

    sitam-ijad kis kis ko tere darban jagaenge

    meri taqdir bhi soti hai mere sath zindan mein

    karenge sajde jhuk jhuk kar buton ke pujne wale

    sanam-KHane ka lutf aayega 'safdar' mere diwan mein

    Source:

    Deewan-e-Safdar Mirzapuri (Pg. 110)

    • Author: Safdar Mirzapuri
      • Publisher: Azhar Lakhnawi
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now