kuchh bhi meri aankhon ko sujhai nahin deta
kuchh bhī mirī āñkhoñ ko sujhā.ī nahīñ detā
jab se tujhe dekhā hai dikhā.ī nahīñ detā
is shor meñ kyā baat sunā.ī nahīñ detī
bas pyaar kā ik bol sunā.ī nahīñ detā
insān kī taqdīr badaltā hai vo insān
jo nā'ra lagātā hai duhā.ī nahīñ detā
maiñ jis kī mohabbat ke maraz meñ huuñ giraftār
hai ek masīhā jo davā.ī nahīñ detā
kyā ham bhī bhalā.ī se na pesh aa.eñ kisī se
badle meñ agar koī bhalā.ī nahīñ detā
zāhir hai 'sha'ūr' aap kī bātoñ se ki allāh
har shaḳhs ke siine ko samā.ī nahīñ detā
kuchh bhi meri aankhon ko sujhai nahin deta
jab se tujhe dekha hai dikhai nahin deta
is shor mein kya baat sunai nahin deti
bas pyar ka ek bol sunai nahin deta
insan ki taqdir badalta hai wo insan
jo na'ra lagata hai duhai nahin deta
main jis ki mohabbat ke maraz mein hun giraftar
hai ek masiha jo dawai nahin deta
kya hum bhi bhalai se na pesh aaen kisi se
badle mein agar koi bhalai nahin deta
zahir hai 'sha'ur' aap ki baaton se ki allah
har shaKHs ke sine ko samai nahin deta
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 70)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.