kuchh ghaTa di gai kuchh baDha di gai
kuchh ghaTā dī ga.ī kuchh baḌhā dī ga.ī
kyā kahānī thī aur kyā banā dī ga.ī
shahr kā shahr hai aaj ḳhanjar-ba-kaf
kyā mire sar kī qīmat lagā dī ga.ī
tiir baaqī haiñ kyā tarkashoñ meñ abhī
jo hameñ zindagī kī du'ā dī ga.ī
āshiyānoñ kī barbādiyoñ kā sabab
bijliyoñ kī sharārat batā dī ga.ī
aap to un ke halqa-bagoshoñ meñ the
aap ko kis ḳhatā kī sazā dī ga.ī
raushnī ghar meñ dāḳhil na ho is liye
har darīche kī chilman girā dī ga.ī
muñh se labbaik labbaik kahte hue
jāñ-nisār aa ga.e jab sadā dī ga.ī
ġham bhī duniyā se baḌh-chaḌh ke ham ko mile
sarfarāzī bhī sab se sivā dī ga.ī
bas isī par hai barham zamāna 'azīz'
us ko tasvīr us kī dikhā dī ga.ī
kuchh ghaTa di gai kuchh baDha di gai
kya kahani thi aur kya bana di gai
shahr ka shahr hai aaj KHanjar-ba-kaf
kya mere sar ki qimat laga di gai
tir baqi hain kya tarkashon mein abhi
jo hamein zindagi ki du'a di gai
aashiyanon ki barbaadiyon ka sabab
bijliyon ki shararat bata di gai
aap to un ke halqa-bagoshon mein the
aap ko kis KHata ki saza di gai
raushni ghar mein daKHil na ho is liye
har dariche ki chilman gira di gai
munh se labbaik labbaik kahte hue
jaan-nisar aa gae jab sada di gai
gham bhi duniya se baDh-chaDh ke hum ko mile
sarfaraazi bhi sab se siwa di gai
bas isi par hai barham zamana 'aziz'
us ko taswir us ki dikha di gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.