kuchh is liye mujhe luTne ka Dar ziyaada hai
kuchh is liye mujhe luTne kā Dar ziyāda hai
zarā sī hai mirī dīvār dar ziyāda hai
ye rāsta to mirā saath de nahīñ saktā
maiñ jāntā huuñ ki merā safar ziyāda hai
'ajab 'ilāj kiyā hai mire masīhā ne
mire maraz se davā kā asar ziyāda hai
maiñ boltā thā ki mujh ko nahīñ thā kuchh mā'lūm
maiñ chup huā huuñ ki mujh ko ḳhabar ziyāda hai
maiñ dekhne kī hadoñ se nikal ke dekhtā huuñ
mirī nigāh se merī nazar ziyāda hai
maiñ rakh sakā na tavāzun uḌaan meñ qaa.em
mire paroñ meñ kahīñ ek par ziyāda hai
ḳhudā kare ki hamesha mujhe gumān rahe
ki mere paas zarūrat se zar ziyāda hai
mire vatan kā yahī mas.ala rahā 'āsim'
yahāñ dimāġh hai kam aur sar ziyāda hai
kuchh is liye mujhe luTne ka Dar ziyaada hai
zara si hai meri diwar dar ziyaada hai
ye rasta to mera sath de nahin sakta
main jaanta hun ki mera safar ziyaada hai
'ajab 'ilaj kiya hai mere masiha ne
mere maraz se dawa ka asar ziyaada hai
main bolta tha ki mujh ko nahin tha kuchh ma'lum
main chup hua hun ki mujh ko KHabar ziyaada hai
main dekhne ki hadon se nikal ke dekhta hun
meri nigah se meri nazar ziyaada hai
main rakh saka na tawazun uDan mein qaem
mere paron mein kahin ek par ziyaada hai
KHuda kare ki hamesha mujhe guman rahe
ki mere pas zarurat se zar ziyaada hai
mere watan ka yahi masala raha 'asim'
yahan dimagh hai kam aur sar ziyaada hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 57)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.