Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte

Wafa Naqvi

kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte

Wafa Naqvi

MORE BYWafa Naqvi

    kuchh log to itnī bhī muravvat nahīñ karte

    milne kabhī ḳhud se bhī zahmat nahīñ karte

    is baar to raste bhī mujhe rok rahe haiñ

    dīvār-o-dar-o-bām ulfat nahīñ karte

    bāzār meñ ab kaun ḳharīdār hai apnā

    itnī bhī ziyāda abhī qīmat nahīñ karte

    kyā hogā sar-e-shām jo ham hoñge na ghar meñ

    ye soch ke ham shahr se hijrat nahīñ karte

    kahte haiñ faqīroñ fazīlat pe qasā.ed

    ham aaj bhī hukkām bai.at nahīñ karte

    sajdoñ ke evaz ḳhuld-e-barīñ māñgne vaalo

    kyuuñ apne makānoñ ko jannat nahīñ karte

    chhup jaate haiñ āġhosh meñ sūraj hamesha

    ye chāñd-sitāre kabhī rehlat nahīñ karte

    sūkhe hue peḌoñ pe koī phuul nahīñ hai

    kyuuñ in se parinde bhī mohabbat nahīñ karte

    dīvār to uThtī huī dekheñge gharoñ meñ

    vo log jo bachchoñ ko nasīhat nahīñ karte

    kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte

    milne ki kabhi KHud se bhi zahmat nahin karte

    is bar to raste bhi mujhe rok rahe hain

    diwar-o-dar-o-baam hi ulfat nahin karte

    bazar mein ab kaun KHaridar hai apna

    itni bhi ziyaada abhi qimat nahin karte

    kya hoga sar-e-sham jo hum honge na ghar mein

    ye soch ke hum shahr se hijrat nahin karte

    kahte hain faqiron ki fazilat pe qasaed

    hum aaj bhi hukkaam ki baiat nahin karte

    sajdon ke ewaz KHuld-e-barin mangne walo

    kyun apne makanon ko hi jannat nahin karte

    chhup jate hain aaghosh mein suraj ki hamesha

    ye chand-sitare kabhi rehlat nahin karte

    sukhe hue peDon pe koi phul nahin hai

    kyun in se parinde bhi mohabbat nahin karte

    diwar to uThti hui dekhenge gharon mein

    wo log jo bachchon ko nasihat nahin karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now