kuchh logon ne aise mil kar usko aaj KHarida hai
kuchh logoñ ne aise mil kar us ko aaj ḳharīdā hai
maiñ hairān huuñ do āñkhoñ ke hote vo be-dīda hai
tab lagtā thā 'ishq se āsāñ jaise koī kaam nahīñ
ab lagtā hai koī nukta kyā is se pechīda hai
aate jaate logo dekho yuuñ na koī baat kaho
kitne mausam guzre lekin dil ab ke sanjīda hai
vo dekhe to guzrā lamha mustaqbil kī yaad lage
vo bole to aane vaalā har ik harf shunīda hai
ye vo dil thā jis meñ us ko jaane kitne saal rakhā
ye vo ghar hai jis kī chābī taale meñ poshīda hai
kuchh logon ne aise mil kar us ko aaj KHarida hai
main hairan hun do aankhon ke hote wo be-dida hai
tab lagta tha 'ishq se aasan jaise koi kaam nahin
ab lagta hai koi nukta kya is se pechida hai
aate jate logo dekho yun na koi baat kaho
kitne mausam guzre lekin dil ab ke sanjida hai
wo dekhe to guzra lamha mustaqbil ki yaad lage
wo bole to aane wala har ek harf shunida hai
ye wo dil tha jis mein us ko jaane kitne sal rakha
ye wo ghar hai jis ki chabi tale mein poshida hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.