kuchh na kuchh bhul to ho jati hai insan jo hain
kuchh na kuchh bhuul to ho jaatī hai insān jo haiñ
yaad vo bhī nahīñ aatā hai pareshān jo haiñ
sirf itnā ki baḌī chiiz hai milnā dil kā
ham koī baat samajhte nahīñ nādān jo haiñ
raunaq-e-shahr se māyūs na ho bānu-e-shahr
ḳhaak uḌāne ko tire be-sar-o-sāmān jo haiñ
ḳhair duniyā mirī vahshat ke liye tang sahī
aur ye 'arsa-e-bātin meñ bayābān jo haiñ
ai shab-e-dar-ba-darī aañkh meñ raushan kyā hai
kuchh sitāre ki sar-e-matla'-e-imkān jo haiñ
agle mausam meñ hamārī koī pahchān to ho
in ko mahfūz rakheñ tār-e-garebān jo haiñ
raat kī raat faqīroñ kī bhī dildārī kar
daa.im ābād zamīñ ham tire mehmān jo haiñ
kuchh na kuchh bhul to ho jati hai insan jo hain
yaad wo bhi nahin aata hai pareshan jo hain
sirf itna ki baDi chiz hai milna dil ka
hum koi baat samajhte nahin nadan jo hain
raunaq-e-shahr se mayus na ho banu-e-shahr
KHak uDane ko tere be-sar-o-saman jo hain
KHair duniya meri wahshat ke liye tang sahi
aur ye 'arsa-e-baatin mein bayaban jo hain
ai shab-e-dar-ba-dari aankh mein raushan kya hai
kuchh sitare ki sar-e-matla'-e-imkan jo hain
agle mausam mein hamari koi pahchan to ho
in ko mahfuz rakhen tar-e-gareban jo hain
raat ki raat faqiron ki bhi dildari kar
daim aabaad zamin hum tere mehman jo hain
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 102)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.