aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko

Shahzad Ahmad

kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    kuchh na kuchh ho to sahī anjuman-ārā.ī ko

    apne ḳhuuñ se firozāñ karo tanhā.ī ko

    ab ye aalam hai ki biitī huī barsātoñ

    apne jism se aatī hai saudā.ī ko

    paas pahuñche to bikhar jā.egā afsūñ saarā

    duur duur se sunte raho shahnā.ī ko

    kisī zindāñ taraf aaj havā ke jhoñke

    pā-ba-zanjīr liye jaate haiñ saudā.ī ko

    kis meñ tāqat hai ki gulshan meñ muqayyad kar le

    is qadar duur se aa.ī huī purvā.ī ko

    vo dahaktā huā paikar vo achhūtī rañgat

    chuum le jaise koī lāla-e-sahrā.ī ko

    bahut āzurda ho 'shahzād' to khul kar ro lo

    hijr raat hai chhoḌo bhī shakebā.ī ko

    kuchh na kuchh ho to sahi anjuman-arai ko

    apne hi KHun se firozan karo tanhai ko

    ab ye aalam hai ki biti hui barsaton ki

    apne hi jism se bu aati hai saudai ko

    pas pahunche to bikhar jaega afsun sara

    dur hi dur se sunte raho shahnai ko

    kisi zindan ki taraf aaj hawa ke jhonke

    pa-ba-zanjir liye jate hain saudai ko

    kis mein taqat hai ki gulshan mein muqayyad kar le

    is qadar dur se aai hui purwai ko

    wo dahakta hua paikar wo achhuti rangat

    chum le jaise koi lala-e-sahrai ko

    bahut aazurda ho 'shahzad' to khul kar ro lo

    hijr ki raat hai chhoDo bhi shakebai ko

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 73)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now