kuchh nahin aas-pas kuchh to hai
kuchh nahīñ ās-pās kuchh to hai
shaam se huuñ udaas kuchh to hai
Tahniyoñ meñ na koī halchal sī
peḌ bhī be-libās kuchh to hai
kuchh nahīñ duur duur tak mere
ye mire paas paas kuchh to hai
raat ne chāhe be-umīd rakhā
sub.h se phir bhī aas kuchh to hai
ham ne aksar yuuñ hī guzārī hai
aaj tum bhī udaas kuchh to hai
terī duniyā ho yā mirī duniyā
mujh ko aa.ī na raas kuchh to hai
kuchh nahin aas-pas kuchh to hai
sham se hun udas kuchh to hai
Tahniyon mein na koi halchal si
peD bhi be-libas kuchh to hai
kuchh nahin dur dur tak mere
ye mere pas pas kuchh to hai
raat ne chahe be-umid rakha
subh se phir bhi aas kuchh to hai
hum ne aksar yun hi guzari hai
aaj tum bhi udas kuchh to hai
teri duniya ho ya meri duniya
mujh ko aai na ras kuchh to hai
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 75)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.