kuchh nahin hai zindagi mein ab hai Khaali zindagi

kuchh nahin hai zindagi mein ab hai Khaali zindagi
Javed Qamar Liyaqati
MORE BYJaved Qamar Liyaqati
kuchh nahīñ hai zindagī meñ ab hai ḳhālī zindagī
lag rahā hai ban ga.ī hai ik savālī zindagī
jis ko hai pās-e-vafā pās-e-hayā is daur meñ
zindagī hai asl meñ us kī misālī zindagī
shaah ke darbār meñ bhī sar na ḳham ham ne kiyā
ham jiye jab tak guzārī shaan vaalī zindagī
is samundar se koī motī nahīñ ham ko milā
yuuñ to ham ne 'umr bhar apnī khañgālī zindagī
so ga.e ham oḌh kar tanhā.ī meñ saarī thakan
maut ne apne gale jis dam lagā lī zindagī
zindagī se tum abhī vāqif nahīñ achchhī tarah
is liye lagtī hai tum ko bholī-bhālī zindagī
haiñ bahāreñ hī bahāreñ shahr meñ lekin 'qamar'
shahr se behtar hai phir bhī gaañv vaalī zindagī
kuchh nahin hai zindagi mein ab hai KHali zindagi
lag raha hai ban gai hai ek sawali zindagi
jis ko hai pas-e-wafa pas-e-haya is daur mein
zindagi hai asl mein us ki misali zindagi
shah ke darbar mein bhi sar na KHam hum ne kiya
hum jiye jab tak guzari shan wali zindagi
is samundar se koi moti nahin hum ko mila
yun to hum ne 'umr bhar apni khangali zindagi
so gae hum oDh kar tanhai mein sari thakan
maut ne apne gale jis dam laga li zindagi
zindagi se tum abhi waqif nahin achchhi tarah
is liye lagti hai tum ko bholi-bhaali zindagi
hain bahaaren hi bahaaren shahr mein lekin 'qamar'
shahr se behtar hai phir bhi ganw wali zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.