kuchh nahin hone mein hone ki masarrat kaisi
kuchh nahīñ hone meñ hone kī masarrat kaisī
aur hone meñ na hone kī aziyyat kaisī
maiñ ne har sang ko pāsang kiyā hai din raat
saḳht-jānī hī batā.egī ki lazzat kaisī
apnī miTTī kī taraf lauT rahī hai har shai
jāda-e-nūr pe tāroñ kī masāfat kaisī
aao pāmāl zamīnoñ kī taraf kuuch kareñ
shahr-e-gul meñ ḳhas-o-ḳhāshāk kī qīmat kaisī
jo bhī aayā hai sar-e-ḳhāk vo hogā tah-e-ḳhāk
kaisā ye nām-o-nasab shaan ye shaukat kaisī
kuchh nahin hone mein hone ki masarrat kaisi
aur hone mein na hone ki aziyyat kaisi
main ne har sang ko pasang kiya hai din raat
saKHt-jaani hi bataegi ki lazzat kaisi
apni miTTi ki taraf lauT rahi hai har shai
jada-e-nur pe taron ki masafat kaisi
aao pamal zaminon ki taraf kuch karen
shahr-e-gul mein KHas-o-KHashak ki qimat kaisi
jo bhi aaya hai sar-e-KHak wo hoga tah-e-KHak
kaisa ye nam-o-nasab shan ye shaukat kaisi
- Book : Ishq (Pg. 90)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.