kuchh narm si kirnen bhi shamil hain bahaaron mein

kuchh narm si kirnen bhi shamil hain bahaaron mein
Shadan Barabankvi
MORE BYShadan Barabankvi
kuchh narm sī kirneñ bhī shāmil haiñ bahāroñ meñ
paiġhām hai jiine kā mā'sūm ishāroñ meñ
nauḳhez ġhazāloñ meñ aur zohra-nigāroñ meñ
kāġhaz kā badan le kar baiThā huuñ sharāroñ meñ
phūloñ ko jo dekhā to mahsūs kiyā maiñ ne
shādāb vo hotā hai paltā hai jo ḳhāroñ meñ
har sang-e-malāmat ko jab chāhe masal Dāleñ
ab bhī vo ravānī hai tahzīb ke dhāroñ meñ
sāhil kā tamannā.ī is raaz ko kyā jaane
tūfān bhī hote haiñ ḳhāmosh kināroñ meñ
āzādī-e-gulshan kā haal us se koī pūchhe
ḳhud jis ne jalāyā hai ghar apnā bahāroñ meñ
vo log bhī ab ham se katrā ke guzarte haiñ
the jin ke liye 'shādāñ' ham jaan se pyāroñ meñ
kuchh narm si kirnen bhi shamil hain bahaaron mein
paigham hai jine ka ma'sum ishaaron mein
nauKHez ghazalon mein aur zohra-nigaron mein
kaghaz ka badan le kar baiTha hun shararon mein
phulon ko jo dekha to mahsus kiya main ne
shadab wo hota hai palta hai jo KHaron mein
har sang-e-malamat ko jab chahe masal Dalen
ab bhi wo rawani hai tahzib ke dhaaron mein
sahil ka tamannai is raaz ko kya jaane
tufan bhi hote hain KHamosh kinaron mein
aazadi-e-gulshan ka haal us se koi puchhe
KHud jis ne jalaya hai ghar apna bahaaron mein
wo log bhi ab hum se katra ke guzarte hain
the jin ke liye 'shadan' hum jaan se pyaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.