kuchh poshida zaKHm ayan ho sakte the
kuchh poshīda zaḳhm 'ayāñ ho sakte the
us se mil kar dard ravāñ ho sakte the
un āñkhoñ ko der talak dekhā hotā
un āñkhoñ meñ ḳhvāb nihāñ ho sakte the
tum ne ek sitāre ko duniyā samjhā
us ke aage aur jahāñ ho sakte the
tum to pahle darvāze se lauT aa.e
bastī meñ kuchh aur makāñ ho sakte the
rafta-rafta aa pahuñche vīrāne tak
ham dīvāne aur kahāñ ho sakte the
har sūrat bantī thī aur bigaḌtī thī
is 'ālam meñ sirf gumāñ ho sakte the
aag havā aur paanī hī sarmāyā thā
had se had ham log dhuāñ ho sakte the
kuchh poshida zaKHm 'ayan ho sakte the
us se mil kar dard rawan ho sakte the
un aankhon ko der talak dekha hota
un aankhon mein KHwab nihan ho sakte the
tum ne ek sitare ko duniya samjha
us ke aage aur jahan ho sakte the
tum to pahle darwaze se lauT aae
basti mein kuchh aur makan ho sakte the
rafta-rafta aa pahunche virane tak
hum diwane aur kahan ho sakte the
har surat banti thi aur bigaDti thi
is 'alam mein sirf guman ho sakte the
aag hawa aur pani hi sarmaya tha
had se had hum log dhuan ho sakte the
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 111)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.