kuchh roz ho gae hain kiye bewafai ko
kuchh roz ho ga.e haiñ kiye bevafā.ī ko
kuchh aur 'ishq karne haiñ hājat-ravā.ī ko
karte na qat' ham ye ta'alluq to aur kaun
aage khaḌā huā thā tirī rahnumā.ī ko
le kar maraz ye aap bhī masjid meñ jā.iye
ārām kuchh davā se nahīñ pārsā.ī ko
hogā na mujh se 'ishq dubāra kisī tarah
karte rahe jo yaad mirī kaj-adā.ī ko
jo tīsrā hai fard masā.il kā hai sabab
she'r-o-suḳhan se kaam nahīñ do-tihā.ī ko
hañste the jo suḳhan pe ye 'ālok' haiñ vahī
ab dekhte haiñ duur se terī rasā.ī ko
kuchh roz ho gae hain kiye bewafai ko
kuchh aur 'ishq karne hain hajat-rawai ko
karte na qat' hum ye ta'alluq to aur kaun
aage khaDa hua tha teri rahnumai ko
le kar maraz ye aap bhi masjid mein jaiye
aaram kuchh dawa se nahin parsai ko
hoga na mujh se 'ishq dubara kisi tarah
karte rahe jo yaad meri kaj-adai ko
jo tisra hai fard masail ka hai sabab
she'r-o-suKHan se kaam nahin do-tihai ko
hanste the jo suKHan pe ye 'alok' hain wahi
ab dekhte hain dur se teri rasai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.