Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    kuchh taur nahīñ bachne zinhār hamārā

    le ke jāvegā ye āzār hamārā

    kūche se tire kuuch hai ai yaar hamārā

    le chalī hasrat-e-dīdār hamārā

    ham ko uThā lījiyo us vaqt ilāhī

    jis vaqt uThe pahlū se dildār hamārā

    yaarā hai kahāñ itnā ki is yaar ko yaaro

    maiñ ye kahūñ ai yaar hai yaar hamārā

    ham pādshah-e-mumlikat-e-ishq haiñ nāhaq

    mansūr maarā gayā sardār hamārā

    kah dījiyo makhūlī ko ai gardish-e-tāle.a

    haañ jaldī se taḳht-e-havā-dār hamārā

    abrū tirī bait kyā baat va-lekin

    hai aah misra bhī dhuāñ-dār hamārā

    'ehsāñ' ġhazal fārsī apnī kahā kar

    dil reḳhta tere se hai bezār hamārā

    kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara

    ji le hi ke jawega ye aazar hamara

    kuche se tere kuch hai ai yar hamara

    ji le hi chali hasrat-e-didar hamara

    tu hum ko uTha lijiyo us waqt ilahi

    jis waqt uThe pahlu se dildar hamara

    yara hai kahan itna ki is yar ko yaro

    main ye kahun ai yar hai tu yar hamara

    hum padshah-e-mumlikat-e-ishq hain nahaq

    mansur sa mara gaya sardar hamara

    kah dijiyo makhuli ko ai gardish-e-talea

    han jaldi se la taKHt-e-hawa-dar hamara

    abru ki teri bait ki kya baat wa-lekin

    hai aah ka misra bhi dhuan-dar hamara

    'ehsan' tu ghazal farsi hi apni kaha kar

    dil reKHta tere se hai bezar hamara

    Source:

    Kulliyat-e-Ehsan (Pg. ebook-85 page-23)

    • Author: Rafia Sultana
      • Edition: 1968
      • Publisher: Rafia Sultana
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now