Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to hamara aks bhi mubham hai dosto

Ameer Imam

kuchh to hamara aks bhi mubham hai dosto

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    kuchh to hamārā 'aks bhī mub.ham hai dosto

    kuchh ham pe raushnī bhī zarā kam hai dosto

    lagtā hai koī shām-e-ġharībāñ thī kun-fakāñ

    ye saarī kā.enāt shab-e-ġham hai dosto

    maazī na haal kuchh bhī nahīñ hai abad talak

    ye vaqt ek lamha-e-paiham hai dosto

    is zaḳhm-e-dil ko roz nayā zaḳhm dījiye

    ye zaḳhm jis ko zaḳhm marham hai dosto

    saare jahāñ meñ koī nazāra nahīñ jise

    ye kah sakeñ ki aañkh mahram hai dosto

    jis se guzar ke kuchh nahīñ khultā kahāñ haiñ ham

    us rāste meñ ek 'ajab ḳham hai dosto

    dil meñ kabhī jo shahr basāyā thā 'ishq ne

    vo shahr aaj darham-o-barham hai dosto

    kuchh to hamara 'aks bhi mubham hai dosto

    kuchh hum pe raushni bhi zara kam hai dosto

    lagta hai koi sham-e-ghariban thi kun-fakan

    ye sari kaenat shab-e-gham hai dosto

    mazi na haal kuchh bhi nahin hai abad talak

    ye waqt ek lamha-e-paiham hai dosto

    is zaKHm-e-dil ko roz naya zaKHm dijiye

    ye zaKHm jis ko zaKHm hi marham hai dosto

    sare jahan mein koi nazara nahin jise

    ye kah saken ki aankh ka mahram hai dosto

    jis se guzar ke kuchh nahin khulta kahan hain hum

    us raste mein ek 'ajab KHam hai dosto

    dil mein kabhi jo shahr basaya tha 'ishq ne

    wo shahr aaj darham-o-barham hai dosto

    Source :
    • Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 27)
    • Author : Ameer Imam
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now