Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to is dasht-e-gum-asar ki virani se

Asif Bilal

kuchh to is dasht-e-gum-asar ki virani se

Asif Bilal

MORE BYAsif Bilal

    kuchh to is dasht-e-gum-āsār vīrānī se

    kuchh to mar jā.eñge ham apnī pareshānī se

    ek ḳheme tanābeñ kaTeñ vahshat ke sabab

    ek ḳhanjar bujhī pyaas ḳhūñ-afshānī se

    ik faqīr aaj bhī gardan ko uThātā nahīñ

    jhuk ga.ī thī kisī hijrat pe pashemānī se

    maiñ ki bichhḌā thā kisī shaḳhs se barsoñ pahle

    tab se sahmā huuñ maiñ qudrat nigahbānī se

    ab jo is shahr meñ aa.e to muqaddar jaano

    ham mayassar kahāñ aate haiñ yuuñ āsānī se

    ham husainī haiñ hameñ pyaas shiddat kaisī

    surḳh-rū aaj bhī vaise hai lahū paanī se

    aa jā.eñge adākārī ke kuchh Dhab 'āsif'

    kaun bach saktā hai is 'ālam-e-insānī se

    kuchh to is dasht-e-gum-asar ki virani se

    kuchh to mar jaenge hum apni pareshani se

    ek KHeme ki tanaben kaTen wahshat ke sabab

    ek KHanjar ki bujhi pyas KHun-afshani se

    ek faqir aaj bhi gardan ko uThata hi nahin

    jhuk gai thi kisi hijrat pe pashemani se

    main ki bichhDa tha kisi shaKHs se barson pahle

    tab se sahma hun main qudrat ki nigahbani se

    ab jo is shahr mein aae to muqaddar jaano

    hum mayassar kahan aate hain yun aasani se

    hum husaini hain hamein pyas ki shiddat kaisi

    surKH-ru aaj bhi waise hai lahu pani se

    aa hi jaenge adakari ke kuchh Dhab 'asif'

    kaun bach sakta hai is 'alam-e-insani se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now