kuchh to wo bhi ho mehrban kahin
kuchh to vo bhī ho mehrbān kahīñ
abr barse to ho makān kahīñ
dard dil kā kaheñ to kaise kaheñ
dil kī hotī hai kyā zabān kahīñ
ham 'ajab kashmakash meñ rahte haiñ
dil kahīñ de chuke bayān kahīñ
ik kalī ko yahāñ to jalnā hai
dhuup āḳhir to legī jaan kahīñ
vaqt kī bas yahī ḳharābī hai
is kī hotī nahīñ dukān kahīñ
gāhe-gāhe yahī ho kyoñ bolo
tum milo mujh se par ho dhyān kahīñ
chāñd sūraj bhī duur haiñ ham se
ham kahīñ haiñ to āsmān kahīñ
zindagī tū dhuāñ dhuāñ kyoñ hai
rafta rafta jale hai jaan kahīñ
aag hī aag hai jahāñ dekho
roz jaltā hai ab makān kahīñ
maut aa.ī to ziist hī na rahī
kis tarah phir bache nishān kahīñ
pyaar se sab jahāñ raheñ mil kar
aisā miltā nahīñ jahān kahīñ
kuchh to wo bhi ho mehrban kahin
abr barse to ho makan kahin
dard dil ka kahen to kaise kahen
dil ki hoti hai kya zaban kahin
hum 'ajab kashmakash mein rahte hain
dil kahin de chuke bayan kahin
ek kali ko yahan to jalna hai
dhup aaKHir to legi jaan kahin
waqt ki bas yahi KHarabi hai
is ki hoti nahin dukan kahin
gahe-gahe yahi ho kyon bolo
tum milo mujh se par ho dhyan kahin
chand suraj bhi dur hain hum se
hum kahin hain to aasman kahin
zindagi tu dhuan dhuan kyon hai
rafta rafta jale hai jaan kahin
aag hi aag hai jahan dekho
roz jalta hai ab makan kahin
maut aai to zist hi na rahi
kis tarah phir bache nishan kahin
pyar se sab jahan rahen mil kar
aisa milta nahin jahan kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.