Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya

Maikash Azmi

kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya

Maikash Azmi

MORE BYMaikash Azmi

    kuchh tum bahak ga.e the to kuchh maiñ bahak gayā

    phir zindagī gaaḌī pahiya sarak gayā

    pathrāv tab huā hai ta'alluq fasl par

    jab zindagī ke khet har gehūñ pak gayā

    chheḌā hai jab kisī ne mohabbat ke giit ko

    dil meñ tumhārī yaad ġhuncha chaTak gayā

    utrā vo naujavān jo daulat car se

    siine se laḌkiyoñ ke dupaTTa sarak gayā

    qismat-navāz log to raste ke ho ga.e

    himmat javāñ thī jis vahī chāñd tak gayā

    būḌhā huā jo baap to beTī javāñ huī

    kuchh aur bojh baḌh ga.e to jism thak gayā

    kuchh tum bahak gae the to kuchh main bahak gaya

    phir zindagi ki gaDi ka pahiya sarak gaya

    pathraw tab hua hai ta'alluq ki fasl par

    jab zindagi ke khet ka har gehun pak gaya

    chheDa hai jab kisi ne mohabbat ke git ko

    dil mein tumhaari yaad ka ghuncha chaTak gaya

    utra wo naujawan jo daulat ki car se

    sine se laDkiyon ke dupaTTa sarak gaya

    qismat-nawaz log to raste ke ho gae

    himmat jawan thi jis ki wahi chand tak gaya

    buDha hua jo bap to beTi jawan hui

    kuchh aur bojh baDh gae to jism thak gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now