Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah

Jafar Tahir

ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah

Jafar Tahir

MORE BYJafar Tahir

    kū-e-haram se niklī hai kū-e-butāñ raah

    haa.e kahāñ pe aa ke milī hai kahāñ raah

    sad-āsmāñ ba-dāman o sad-kahkashāñ-ba-dosh

    bām-e-buland-e-yār tire āstāñ raah

    mulk-e-adam meñ qāfila-e-rūh basā

    ham dekhte rah ga.e us bad-gumāñ raah

    luTtā rahā hai zauq-e-nazar gaam gaam par

    ab kyā rahā hai paas jo ham leñ vahāñ raah

    ai zulf-e-ḳham-ba-ḳham tujhe apnā vāsta

    hamvār hone paa.e na umr-e-ravāñ raah

    gul-hā-e-rañg-rañg haiñ afkār-e-nau-ba-nau

    ye rahguzār-e-sher hai kis gulsitāñ raah

    'tāhir' ye manzileñ ye maqāmāt ye haram

    allāh re ye raah ye kū-e-butāñ raah

    ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah

    hae kahan pe aa ke mili hai kahan ki rah

    sad-asman ba-daman o sad-kahkashan-ba-dosh

    baam-e-buland-e-yar tere aastan ki rah

    mulk-e-adam mein qafila-e-ruh ja basa

    hum dekhte hi rah gae us bad-guman ki rah

    luTta raha hai zauq-e-nazar gam gam par

    ab kya raha hai pas jo hum len wahan ki rah

    ai zulf-e-KHam-ba-KHam tujhe apna hi wasta

    hamwar hone pae na umr-e-rawan ki rah

    gul-ha-e-rang-rang hain afkar-e-nau-ba-nau

    ye rahguzar-e-sher hai kis gulsitan ki rah

    'tahir' ye manzilen ye maqamat ye haram

    allah re ye rah ye ku-e-butan ki rah

    Source:

    Nuquush Lahore (Pg. 367)

    • Author: Mohd Tufail
      • Edition: Feb.1956
      • Publisher: Idara Farog-e-urdu, Lahore
      • Year of Publication: Feb.1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now