Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ajab marne pe bhi ishq ki KHu sath rahe

Bedil Azimabadi

kya ajab marne pe bhi ishq ki KHu sath rahe

Bedil Azimabadi

MORE BYBedil Azimabadi

    kyā ajab marne pe bhī ishq ḳhū saath rahe

    suukh bhī jaa.e agar phuul to saath rahe

    kāñpte hāthoñ se dāmān-e-taqaddus na chhuTe

    mai-kade jā.ūñ to ik zarf-e-vazū saath rahe

    a ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ mirī jaañ tujh pe nisār

    donoñ aalam mujhe hāsil haiñ jo saath rahe

    ham gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna ko hai kaam se kaam

    jām-o-sāġhar na sahī ek adū saath rahe

    kuchh to anjām-e-mohabbat ḳhabar ho us ko

    merā madfan jo miTāo to kadū saath rahe

    chhoḌ jaatā hai koī apnī zarūrat chiiz

    jā.ūñ masjid meñ jo maiñ jām-o-subū saath rahe

    ashk-e-ḳhūnīn bhī taar na TuuTe a dil

    zaḳhm-e-ġham ke liye ik tār-e-rafū saath rahe

    qatra-e-ashk na ḳhālī rahe rañgīnī se

    jab kabhī aañkh se nikle to lahū saath rahe

    tujh pe khul jaa.e tire dil haqīqat zāhid

    ek dam bhī jo koī ā.īna-rū saath rahe

    tīr-e-sayyād na nikle tire dil se 'bedil'

    toḌ kar nikle bhī dil ko to lahū saath rahe

    kya ajab marne pe bhi ishq ki KHu sath rahe

    sukh bhi jae agar phul to bu sath rahe

    kanpte hathon se daman-e-taqaddus na chhuTe

    mai-kade jaun to ek zarf-e-wazu sath rahe

    a KHayal-e-ruKH-e-jaanan meri jaan tujh pe nisar

    donon aalam mujhe hasil hain jo tu sath rahe

    hum gada-e-dar-e-mai-KHana ko hai kaam se kaam

    jam-o-saghar na sahi ek adu sath rahe

    kuchh to anjam-e-mohabbat ki KHabar ho us ko

    mera madfan jo miTao to kadu sath rahe

    chhoD jata hai koi apni zarurat ki chiz

    jaun masjid mein jo main jam-o-subu sath rahe

    ashk-e-KHunin ka bhi tar na TuTe a dil

    zaKHm-e-gham ke liye ek tar-e-rafu sath rahe

    qatra-e-ashk na KHali rahe rangini se

    jab kabhi aankh se nikle to lahu sath rahe

    tujh pe khul jae tere dil ki haqiqat zahid

    ek dam bhi jo koi aaina-ru sath rahe

    tir-e-sayyaad na nikle tere dil se 'bedil'

    toD kar nikle bhi dil ko to lahu sath rahe

    Source:

    Nawa-e-Bedil (Pg. 191)

    • Author: Bedil Azimabadi
      • Publisher: The Azad Press, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now