Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai

Abul Fitrat Meer Zaidi

kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai

Abul Fitrat Meer Zaidi

MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi

    kyā baat hai kyoñ zulf pareshān nahīñ hai

    is bahs ab faisla āsān nahīñ hai

    parde meñ lagāvaT bhī hai shoḳhī bhī hayā bhī

    sab kuchh hai magar jins tūfān nahīñ hai

    insān ke ausāf-e-hamīda ko na maane

    ik mard-e-musalmān ye shaan nahīñ hai

    phir pyaar tahrīk hai tūfān zad meñ

    lekin mirā baazū abhī be-jān nahīñ hai

    vāqif na ho īmān meñ taslīm-o-razā se

    aisā bhī na.e daur insān nahīñ hai

    jis shauq se maiñ ne tumheñ taslīm kiyā hai

    insāf to kah sakte ho ehsān nahīñ hai

    kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai

    is bahs ka ab faisla aasan nahin hai

    parde mein lagawaT bhi hai shoKHi bhi haya bhi

    sab kuchh hai magar jins ka tufan nahin hai

    insan ke ausaf-e-hamida ko na mane

    ek mard-e-musalman ki ye shan nahin hai

    phir pyar ki tahrik hai tufan ki zad mein

    lekin mera bazu abhi be-jaan nahin hai

    waqif na ho iman mein taslim-o-raza se

    aisa bhi nae daur ka insan nahin hai

    jis shauq se main ne tumhein taslim kiya hai

    insaf to kah sakte ho ehsan nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now