Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya batlaun kaise din main kaT raha hun

Khaleel Rampuri

kya batlaun kaise din main kaT raha hun

Khaleel Rampuri

MORE BYKhaleel Rampuri

    kyā batlā.ūñ kaise din maiñ kaaT rahā huuñ

    motī huuñ aur raste meñ bekār paḌā huuñ

    lambī lambī caroñ vāloñ se achchhā huuñ

    rūkhī-sūkhī jo miltī hai khā letā huuñ

    tanhā.ī meñ aksar maiñ sochā kartā huuñ

    sūraj chāñd sitāre kyā haiñ aur maiñ kyā huuñ

    bādal parbat dariyā chashme jangal sahrā

    kyuuñ bhāte haiñ maiñ in sab kyā lagtā huuñ

    aag aur paanī meñ kahte haiñ bair baḌā hai

    lekin maiñ to us se mil kar ḳhush hotā huuñ

    itnī nafrat yaaro mujh se kyuuñ karte ho

    maiñ bhī gulshan ik gul huuñ tum jaisā huuñ

    mere chāhne vāloñ bhī ik halqa hai

    maiñ bhī gulzāroñ vaadī jharnā huuñ

    mere chāl-chalan se bhī kuchh hāsil kar lo

    maiñ bhī ik autār darja rakhtā huuñ

    ek manzar ne āñkhoñ ko Dhāñp rakhā hai

    roz-e-avval se ye sūraj dekh rahā huuñ

    ḳhud se jab bāteñ karne ko chāhā hai

    ghar se uTh kar nadī kināre baiThā huuñ

    mere haal se duniyā andāza kar lo

    maiñ phaldār shajar ik piilā pattā huuñ

    dhyān ko tanhā.ī ke ghar peḌ samjhiye

    maiñ bhī us ke saa.e meñ barsoñ baiThā huuñ

    jaane kis pal ḳhushbū hai mere aage

    jaane kis duniyā ke pīchhe dauḌ rahā huuñ

    kaise kaise log guzarte haiñ nazroñ se

    saarā din maiñ kaise kaise dukh sahtā huuñ

    mere ḳhadd-o-ḳhāl ko dekho aur pahchāno

    maiñ bhī apnī 'irfānī katba huuñ

    bas ke pahiye ḳhaak uḌā jaate haiñ mujh par

    vo kyā jāneñ kaun huuñ aur kis chehra huuñ

    atā-patā kyā pūchh rahe ho merā logo

    rāmpūrī shā'ir huuñ aur ġhazleñ kahtā huuñ

    kya batlaun kaise din main kaT raha hun

    moti hun aur raste mein bekar paDa hun

    lambi lambi caron walon se achchha hun

    rukhi-sukhi jo milti hai kha leta hun

    tanhai mein aksar main socha karta hun

    suraj chand sitare kya hain aur main kya hun

    baadal parbat dariya chashme jangal sahra

    kyun bhate hain main in sab ka kya lagta hun

    aag aur pani mein kahte hain bair baDa hai

    lekin main to us se mil kar KHush hota hun

    itni nafrat yaro mujh se kyun karte ho

    main bhi gulshan ka ek gul hun tum jaisa hun

    mere chahne walon ka bhi ek halqa hai

    main bhi gulzaron ki wadi ka jharna hun

    mere chaal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo

    main bhi ek autar ka sa darja rakhta hun

    ek hi manzar ne aankhon ko Dhanp rakha hai

    roz-e-awwal se ye suraj dekh raha hun

    KHud se jab baaten karne ko ji chaha hai

    ghar se uTh kar nadi kinare ja baiTha hun

    mere haal se duniya ka andaza kar lo

    main phaldar shajar ka ek pila patta hun

    dhyan ko tanhai ke ghar ka peD samjhiye

    main bhi us ke sae mein barson baiTha hun

    jaane kis pal ki KHushbu hai mere aage

    jaane kis duniya ke pichhe dauD raha hun

    kaise kaise log guzarte hain nazron se

    sara din main kaise kaise dukh sahta hun

    mere KHadd-o-KHal ko dekho aur pahchano

    main bhi apni 'irfani ka katba hun

    bas ke pahiye KHak uDa jate hain mujh par

    wo kya jaanen kaun hun aur kis ka chehra hun

    ata-pata kya puchh rahe ho mera logo

    rampuri sha'ir hun aur ghazlen kahta hun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 796)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now