kya din the jab chhup chhup kar tum pas hamare aate the
kya din the jab chhup chhup kar tum pas hamare aate the
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
kyā din the jab chhup chhup kar tum paas hamāre aate the
kāñpte the badnāmī ke Dar se aañsū pī pī jaate the
haa.e javānī kyā mausam thā ab vo din yaad aate haiñ
rūThte the ham har-dam un pe aur vo aa ke manāte the
haa.e ġhazab hai mujh vahshī ko us mausam meñ qaid kiyā
sun jab shor-e-fasl-e-bahārāñ murġh-e-qafas ghabrāte the
zikr kiyā maiñ aap kā kis se kis ke aage naam liyā
dushman the vo log mire jo aap ke ta.iiñ bahkāte the
haa.e vo pahle chaah kā aalam kis se maiñ iz.hār karūñ
maiñ to hijāb se aap ḳhajil thā vo mujh se sharmāte the
us se 'havas' milnā mushkil thā par vo ham se duur na the
un kī hī tasvīr se har-dam apnā jī bahlāte the
kya din the jab chhup chhup kar tum pas hamare aate the
kanpte the badnami ke Dar se aansu pi pi jate the
hae jawani kya mausam tha ab wo din yaad aate hain
ruThte the hum har-dam un pe aur wo aa ke manate the
hae ghazab hai mujh wahshi ko us mausam mein qaid kiya
sun jab shor-e-fasl-e-bahaaran murgh-e-qafas ghabraate the
zikr kiya main aap ka kis se kis ke aage nam liya
dushman the wo log mere jo aap ke tain bahkate the
hae wo pahle chah ka aalam kis se main izhaar karun
main to hijab se aap KHajil tha wo mujh se sharmate the
us se 'hawas' milna mushkil tha par wo hum se dur na the
un ki hi taswir se har-dam apna ji bahlate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.