kya hai ilaj-e-gham ki jise aazmaun main
kyā hai 'ilāj-e-ġham ki jise āzmā.ūñ maiñ
logoñ ne hal batāyā use bhuul jā.ūñ maiñ
lekin hai dil kā hukm use bhūlnā nahīñ
yādoñ ke saath jiine kā fan siikh jā.ūñ maiñ
us kī kisī bhī baat se miltī hai kab ḳhushī
lahja hai itnā saḳht ki bas TuuT jā.ūñ maiñ
bezār itnā karne lagī hai ye zindagī
ai maut terā dar na kahīñ khaTkhaTā.ūñ maiñ
duhre naqāb chehre pe rakhtā hai ye jahāñ
kaise ab apnā hāl-e-dil us ko sunā.ūñ maiñ
tārīk shab ġhamoñ kī hai chāhat ke sāmne
behtar hai ab charāġh-e-tamannā bujhā.ūñ maiñ
kya hai 'ilaj-e-gham ki jise aazmaun main
logon ne hal bataya use bhul jaun main
lekin hai dil ka hukm use bhulna nahin
yaadon ke sath jine ka fan sikh jaun main
us ki kisi bhi baat se milti hai kab KHushi
lahja hai itna saKHt ki bas TuT jaun main
bezar itna karne lagi hai ye zindagi
ai maut tera dar na kahin khaTkhaTaun main
duhre naqab chehre pe rakhta hai ye jahan
kaise ab apna haal-e-dil us ko sunaun main
tarik shab ghamon ki hai chahat ke samne
behtar hai ab charagh-e-tamanna bujhaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.