kya hai meri zat kya auqat hai kuchh bhi nahin
kyā hai merī zaat kyā auqāt hai kuchh bhī nahīñ
terī rahmat ke sivā kyā saath hai kuchh bhī nahīñ
jo bhī hai mujh meñ vo tere naam se mujh ko milā
varna is nāchīz meñ kyā baat hai kuchh bhī nahīñ
merī āñkheñ rone par aa jaa.eñ to phir dekhnā
sāmne un ke ye kyā barsāt hai kuchh bhī nahīñ
vo jise duniyā se kuchh lenā na denā dosto
us kī ḳhātir jiit hai kyā maat hai kuchh bhī nahīñ
jis añdhere se guzarnā ho rahā hai in dinoñ
sāmne us ke bhalā kyā raat hai kuchh bhī nahīñ
kya hai meri zat kya auqat hai kuchh bhi nahin
teri rahmat ke siwa kya sath hai kuchh bhi nahin
jo bhi hai mujh mein wo tere nam se mujh ko mila
warna is nachiz mein kya baat hai kuchh bhi nahin
meri aankhen rone par aa jaen to phir dekhna
samne un ke ye kya barsat hai kuchh bhi nahin
wo jise duniya se kuchh lena na dena dosto
us ki KHatir jit hai kya mat hai kuchh bhi nahin
jis andhere se guzarna ho raha hai in dinon
samne us ke bhala kya raat hai kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.