kya hua gar jagne ki Than li aur so gae
kyā huā gar jāgne kī Thaan lī aur so ga.e
niiñd apnī thī use pahchān lī aur so ga.e
ghar kā darvāza khulā thā so khulā hī rah gayā
ham ne be-fikrī kī chādar taan lī aur so ga.e
kitnī achchhī ratjage kī raat aa.ī thī magar
ham ne tanhā.ī kī niyyat jaan lī aur so ga.e
ek do bose havā meñ bhej kar un kī taraf
un se ham ne halkī sī muskān lī aur so ga.e
raat jāgoge to din meñ Tuut jāoge 'ḳhalīl'
baat sachchī thī so ham ne maan lī aur so ga.e
kya hua gar jagne ki Than li aur so gae
nind apni thi use pahchan li aur so gae
ghar ka darwaza khula tha so khula hi rah gaya
hum ne be-fikri ki chadar tan li aur so gae
kitni achchhi ratjage ki raat aai thi magar
hum ne tanhai ki niyyat jaan li aur so gae
ek do bose hawa mein bhej kar un ki taraf
un se hum ne halki si muskan li aur so gae
raat jagoge to din mein Tut jaoge 'KHalil'
baat sachchi thi so hum ne man li aur so gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.