kya jurm hai ye haal to jaane KHuda-e-maut
kyā jurm hai ye haal to jaane ḳhudā-e-maut
har nafs ke liye hai magar yaañ sazā-e-maut
kahtī hai 'aql maut ye hai bahr-e-zindagī
vo zindagī ki jo nahīñ hogī barā-.e-maut
duniyā kī zindagī to hai ik juzv-e-maut hī
is kā natīja ho nahīñ saktā sivā.e maut
sāñcha ye zindagī hai faqat ruuh ke liye
jab Dhal chuke to sāñche ko jaa.ez hai aa.e maut
kaisī Dhalī isī kā hai lāzim hameñ ḳhayāl
ne'mat banā.eñ maut ko kyoñ ho jafā-e-maut
hotā hai ġham zarūr magar kuchh hai maslahat
allāh kar de tab' ko rāz-āshnā-e-maut
kya jurm hai ye haal to jaane KHuda-e-maut
har nafs ke liye hai magar yan saza-e-maut
kahti hai 'aql maut ye hai bahr-e-zindagi
wo zindagi ki jo nahin hogi bara-e-maut
duniya ki zindagi to hai ek juzw-e-maut hi
is ka natija ho nahin sakta siwae maut
sancha ye zindagi hai faqat ruh ke liye
jab Dhal chuke to sanche ko jaez hai aae maut
kaisi Dhali isi ka hai lazim hamein KHayal
ne'mat banaen maut ko kyon ho jafa-e-maut
hota hai gham zarur magar kuchh hai maslahat
allah kar de tab' ko raaz-ashna-e-maut
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 89)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.