kya kahiye din shabab ke kaise guzar gae
kyā kahiye din shabāb ke kaise guzar ga.e
jhoñke havāoñ ke idhar aa.e udhar ga.e
merī nazar meñ hāsil-e-hastī vahī rahe
vo lamhe jo hayāt ko badnām kar ga.e
kyoñ yaad aa rahe haiñ vo be-sāḳhta mujhe
bhūle hue bhī jin ko zamāne guzar ga.e
phir un ko mai-kade se uThāne kā zikr hai
saaqī vo tishna-lab jo tirā naam kar ga.e
is daur-e-nā-shanās meñ ahl-e-vafā kahāñ
sīnoñ meñ ahl-e-dil ke to ḳhanjar utar ga.e
ham vo charāġh haiñ ki jo haiñ āñdhiy.oñ ke saath
ham vo nahīñ jo tez havāoñ se Dar ga.e
jab tak rahe qafas meñ rahe bāl-o-par 'aqīl'
āzād jab hue to sabhī bāl-o-par ga.e
kya kahiye din shabab ke kaise guzar gae
jhonke hawaon ke idhar aae udhar gae
meri nazar mein hasil-e-hasti wahi rahe
wo lamhe jo hayat ko badnam kar gae
kyon yaad aa rahe hain wo be-saKHta mujhe
bhule hue bhi jin ko zamane guzar gae
phir un ko mai-kade se uThane ka zikr hai
saqi wo tishna-lab jo tera nam kar gae
is daur-e-na-shanas mein ahl-e-wafa kahan
sinon mein ahl-e-dil ke to KHanjar utar gae
hum wo charagh hain ki jo hain aandhiyon ke sath
hum wo nahin jo tez hawaon se Dar gae
jab tak rahe qafas mein rahe baal-o-par 'aqil'
aazad jab hue to sabhi baal-o-par gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.