Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka

Agha Shayar Qazalbash

kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka

Agha Shayar Qazalbash

MORE BYAgha Shayar Qazalbash

    kyā kar rahe ho zulm karo raah raah

    kahte haiñ be-jigar hai baḌā tiir aah

    yuuñ rauñgTe larazte haiñ pūchheñge roz-e-hashr

    kyuuñ ek din bhī ḳhauf na aayā gunāh

    hālat pe merī un ke bhī aañsū nikal paḌe

    dekhā gayā na yaas meñ aalam nigāh

    kisrā taaq ka.abe ke but muñh ke bal gire

    shohra sunā jo ashhado-an-lā-ilāh

    'shā.ir' ajiib rañg se guzrī hai apnī umr

    duniyā meñ naam bhī na sunā ḳhair-ḳhvāh

    kya kar rahe ho zulm karo rah rah ka

    kahte hain be-jigar hai baDa tir aah ka

    yun raungTe larazte hain puchhenge roz-e-hashr

    kyun ek din bhi KHauf na aaya gunah ka

    haalat pe meri un ke bhi aansu nikal paDe

    dekha gaya na yas mein aalam nigah ka

    kisra ka taq kabe ke but munh ke bal gire

    shohra suna jo ashhado-an-la-ilah ka

    'shair' ajib rang se guzri hai apni umr

    duniya mein nam bhi na suna KHair-KHwah ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now