kya KHabar thi rahzan hi rahnuma ho jaega
kyā ḳhabar thī rāhzan hī rahnumā ho jā.egā
merā dushman shahr kā farmāñ-ravā ho jā.egā
ḳhatm ik din roz-o-shab kā silsila ho jā.egā
rafta-rafta gul umīdoñ kā diyā ho jā.egā
jis kī buniyādoñ meñ nafrat ke sivā kuchh bhī na ho
dekh lenā ghar yaqīnan vo fanā ho jā.egā
kyā ḳhabar thī jis kī ḳhātir maiñ ne apnī jaan dī
vo bhī mere qātiloñ kā ham-navā ho jā.egā
jis kā dāman ḳhūn-ālūda hai 'ġhaurī' aaj bhī
vo siyāsat ke sabab kal pārsā ho jā.egā
kya KHabar thi rahzan hi rahnuma ho jaega
mera dushman shahr ka farman-rawa ho jaega
KHatm ek din roz-o-shab ka silsila ho jaega
rafta-rafta gul umidon ka diya ho jaega
jis ki buniyaadon mein nafrat ke siwa kuchh bhi na ho
dekh lena ghar yaqinan wo fana ho jaega
kya KHabar thi jis ki KHatir main ne apni jaan di
wo bhi mere qatilon ka ham-nawa ho jaega
jis ka daman KHun-aluda hai 'ghauri' aaj bhi
wo siyasat ke sabab kal parsa ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.