kya KHabar thi ranjishon ka silsila ho jaega
kyā ḳhabar thī ranjishoñ kā silsila ho jā.egā
ik zarā sī baat hogī vo ḳhafā ho jā.egā
ye to sochā hī na thā yaḳh-basta lamhoñ kā sukūt
ek din TūTegā aur sang-e-sadā ho jā.egā
mauj-e-dariyā ḳhāmushī ko merī fitrat mat samajh
tishna lab kholūñ to ab ke faisla ho jā.egā
but tarāshā thā inhī hāthoñ se maiñ ne ek din
par kise mā'lūm thā vo but ḳhudā ho jā.egā
ham yahī samjhe the ik dil hī to hai apne liye
ham kahāñ samjhe the itnā sar-phirā ho jā.egā
kya KHabar thi ranjishon ka silsila ho jaega
ek zara si baat hogi wo KHafa ho jaega
ye to socha hi na tha yaKH-basta lamhon ka sukut
ek din TuTega aur sang-e-sada ho jaega
mauj-e-dariya KHamushi ko meri fitrat mat samajh
tishna lab kholun to ab ke faisla ho jaega
but tarasha tha inhi hathon se main ne ek din
par kise ma'lum tha wo but KHuda ho jaega
hum yahi samjhe the ek dil hi to hai apne liye
hum kahan samjhe the itna sar-phira ho jaega
- Book : Ishq (Pg. 87)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.