kya KHabar usko jo baiTha hai nishane wala
kyā ḳhabar us ko jo baiThā hai nishāne vaalā
mārne vaale se behtar hai bachāne vaalā
chand lamhoñ kī ḳhamoshī ko gavārā kar lo
varna ye vaqt bahut kuchh hai sunāne vaalā
dil kī gahrā.ī meñ utre to utar jaane do
mustaqil chehre pe nazroñ ko jamāne vaalā
mubtalā huuñ maiñ kisī kashmakash-e-zehnī meñ
yā'nī kuchh kahne na sunñe na sunāne vaalā
soch dīmak kī tarah chaaT rahī hai mujh ko
aur maiñ huuñ ki isī kaam meñ aane vaalā
kis tarah chain se baiThegā banā.egā makāñ
ghar kahīñ jaltā huā chhoḌ ke aane vaalā
dil kabhī Dūbtā mahsūs kiyā hai tum ne
tez dhāre kī tarah saath bahāne vaalā
tum to zaḳhmoñ pe namak ḳhuub chhiḌakte ho 'nishāt'
maiñ faqat ġhusse meñ hoñToñ ko chabāne vaalā
kya KHabar us ko jo baiTha hai nishane wala
marne wale se behtar hai bachane wala
chand lamhon ki KHamoshi ko gawara kar lo
warna ye waqt bahut kuchh hai sunane wala
dil ki gahrai mein utre to utar jaane do
mustaqil chehre pe nazron ko jamane wala
mubtala hun main kisi kashmakash-e-zehni mein
ya'ni kuchh kahne na sunne na sunane wala
soch dimak ki tarah chaT rahi hai mujh ko
aur main hun ki isi kaam mein aane wala
kis tarah chain se baiThega banaega makan
ghar kahin jalta hua chhoD ke aane wala
dil kabhi Dubta mahsus kiya hai tum ne
tez dhaare ki tarah sath bahane wala
tum to zaKHmon pe namak KHub chhiDakte ho 'nishat'
main faqat ghusse mein honTon ko chabane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.