kya KHub shakl thi ki bahut KHub-tar bani
kyā ḳhuub shakl thī ki bahut ḳhūb-tar banī
ik gul ko dekhte hī gulistāñ nazar banī
ham meñ to fāsla thā magar saa.e mil ga.e
tasvīr is visāl kī dīvār par banī
koshish meñ ik 'ajīb sī 'ujlat kā daḳhl hai
maiñ biij bo rahā thā ki ḳhvāhish samar banī
baiThe the ek bench pe kuchh der park meñ
itnā sā vāqi'a thā magar kyā ḳhabar banī
vo 'azm thā ki haTtī ga.iiñ ḳhud rukāvaTeñ
vo 'ishq thā ki raah kī dīvār dar banī
ham ne kiyā hai 'ishq baḌe e'timād se
ham ne kabhī nahīñ ye kahā jaan par banī
'āsim' zamīñ ne maañ kī tarah kī hai parvarish
barsoñ meñ ek shāḳh tavānā shajar banī
kya KHub shakl thi ki bahut KHub-tar bani
ek gul ko dekhte hi gulistan nazar bani
hum mein to fasla tha magar sae mil gae
taswir is visal ki diwar par bani
koshish mein ek 'ajib si 'ujlat ka daKHl hai
main bij bo raha tha ki KHwahish samar bani
baiThe the ek bench pe kuchh der park mein
itna sa waqi'a tha magar kya KHabar bani
wo 'azm tha ki haTti gain KHud rukawaTen
wo 'ishq tha ki rah ki diwar dar bani
hum ne kiya hai 'ishq baDe e'timad se
hum ne kabhi nahin ye kaha jaan par bani
'asim' zamin ne man ki tarah ki hai parwarish
barson mein ek shaKH tawana shajar bani
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 68)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.