Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya koi kam-zarf hai ya be-nawa hai aaina

Mukhtaruddin

kya koi kam-zarf hai ya be-nawa hai aaina

Mukhtaruddin

MORE BYMukhtaruddin

    kyā koī kam-zarf hai be-navā hai aa.ina

    pher detā hai vahī jo dekhtā hai aa.ina

    us honā na honā is tarah mujh par khulā

    aa.ine ke sāmne jaise rakhā hai aa.ina

    chor darvāze se ghus aa.e bahut be-chehra log

    ā.ina-ḳhāne meñ tanhā rah gayā hai aa.ina

    muddatoñ ke āshnā ne bhī nigāheñ pher liiñ

    chhoḌiye jaane bhī diije aa.ina hai aa.ina

    maiñ sikandar-azm huuñ fardā pe hai merī nazar

    ġhair jo dekheñ to pīchhe dekhtā hai aa.ina

    fikr saiqal se gar 'muḳhtār' ho raushan zamīr

    ā.inoñ meñ is se behtar kaun hai aa.ina

    kya koi kam-zarf hai ya be-nawa hai aaina

    pher deta hai wahi jo dekhta hai aaina

    us ka hona ya na hona is tarah mujh par khula

    aaine ke samne jaise rakha hai aaina

    chor darwaze se ghus aae bahut be-chehra log

    aaina-KHane mein tanha rah gaya hai aaina

    muddaton ke aashna ne bhi nigahen pher lin

    chhoDiye jaane bhi dije aaina hai aaina

    main sikandar-azm hun farda pe hai meri nazar

    ghair jo dekhen to pichhe dekhta hai aaina

    fikr ki saiqal se gar 'muKHtar' ho raushan zamir

    aainon mein is se behtar kaun sa hai aaina

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 455)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now