kya kya na samne se zamane guzar gae
kyā kyā na sāmne se zamāne guzar ga.e
ik ġham thā jis ne saath na chhoḌā jidhar ga.e
betāb dil ke sāmne aur maslahat kī baat
chāhā na jaa.eñ bazm meñ un kī magar ga.e
sunte haiñ din shabāb ke jān-e-hayāt haiñ
lekin vo sub.h-o-shām jo ro kar guzar ga.e
kyā kyā maze uThā.e haiñ zabt-e-malāl meñ
dil ḳhuun ho gayā hai jo aañsū Thahar ga.e
Dartā huuñ maiñ ki zabt kā dāman na chhūT jaa.e
banda-navāz aap to had se guzar ga.e
kuchh kam nahīñ ye 'azmat-e-āvārgān-e-‘ishq
duniyā ne uñgliyāñ to uThā.īñ jidhar ga.e
dekhā 'ra.īs' tū ne zamāne kā ye tarīq
apne bhī aaj aañkh bachā kar guzar ga.e
kya kya na samne se zamane guzar gae
ek gham tha jis ne sath na chhoDa jidhar gae
betab dil ke samne aur maslahat ki baat
chaha na jaen bazm mein un ki magar gae
sunte hain din shabab ke jaan-e-hayat hain
lekin wo subh-o-sham jo ro kar guzar gae
kya kya maze uThae hain zabt-e-malal mein
dil KHun ho gaya hai jo aansu Thahar gae
Darta hun main ki zabt ka daman na chhuT jae
banda-nawaz aap to had se guzar gae
kuchh kam nahin ye 'azmat-e-awargan-e-‘ishq
duniya ne ungliyan to uThain jidhar gae
dekha 'rais' tu ne zamane ka ye tariq
apne bhi aaj aankh bacha kar guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.