Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar

Zeba

kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar

Zeba

MORE BYZeba

    kyā milā qais ko gard-e-rah-e-sahrā ho kar

    rah gayā hotā ġhubār-e-dar-e-lailā ho kar

    yaad aate haiñ chaman meñ jo kisī ke aariz

    gul khaTakte haiñ mirī āñkhoñ meñ kāñTā ho kar

    pahle kyā thā jo kiyā karte the tārīf mirī

    ab huā kyā jo burā ho gayā achchhā ho kar

    dil meñ rakh gard-e-kudūrat na bahut ai kam-bīñ

    kahīñ rah jaa.e na ye aa.ina andhā ho kar

    hijr meñ yād-e-mizha aur bhī taḌpātī hai

    qalb-e-bismil meñ khaTaktī hai ye kāñTā ho kar

    nāla-e-garm ne tāsīr ajab dikhlā.ī

    rah gayā misl-e-charāġh aap meñ ThanDā ho kar

    yaar ke ruḳh sabāhat tasavvur shab-e-hijr

    aayā taskīñ ko mirī nuur taḌkā ho kar

    dil se kahtā hai ġham-e-ulfat-e-jānāñ dam-e-marg

    tum to duniyā se chale maiñ rahūñ kis ho kar

    chhoḌnā ai ġham-e-ulfat na kabhī saath us

    kahīñ ghabrā.e mirā dil na akelā ho kar

    aa.e to vasl din ho to kahīñ bos-o-kanār

    sab nikal jā.egī sharm un pasīnā ho kar

    jism-e-anvar latāfat sanā kyā kiije

    jāma-e-yār na utrā kabhī mailā ho kar

    dahr dekhte haiñ past-o-buland ai 'zebā'

    karbalā jā.eñge is vāste bat.hā ho kar

    kya mila qais ko gard-e-rah-e-sahra ho kar

    rah gaya hota ghubar-e-dar-e-laila ho kar

    yaad aate hain chaman mein jo kisi ke aariz

    gul khaTakte hain meri aankhon mein kanTa ho kar

    pahle kya tha jo kiya karte the tarif meri

    ab hua kya jo bura ho gaya achchha ho kar

    dil mein rakh gard-e-kudurat na bahut ai kam-bin

    kahin rah jae na ye aaina andha ho kar

    hijr mein yaad-e-mizha aur bhi taDpati hai

    qalb-e-bismil mein khaTakti hai ye kanTa ho kar

    nala-e-garm ne tasir ajab dikhlai

    rah gaya misl-e-charagh aap mein ThanDa ho kar

    yar ke ruKH ki sabahat ka tasawwur shab-e-hijr

    aaya taskin ko meri nur ka taDka ho kar

    dil se kahta hai gham-e-ulfat-e-jaanan dam-e-marg

    tum to duniya se chale main rahun kis ka ho kar

    chhoDna ai gham-e-ulfat na kabhi sath us ka

    kahin ghabrae mera dil na akela ho kar

    aae to wasl ka din ho to kahin bos-o-kanar

    sab nikal jaegi sharm un ki pasina ho kar

    jism-e-anwar ki latafat ki sana kya kije

    jama-e-yar na utra kabhi maila ho kar

    dahr ki dekhte hain past-o-buland ai 'zeba'

    karbala jaenge is waste batha ho kar

    Source:

    Deewan-e-Zeba (Pg. ebook-41 page-42)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now