Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen

Khalilur Rahman Azmi

kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    kyā qayāmat hai ki ham ḳhud kaheñ ḳhud suneñ

    ek se ek abu-jehl hai kis kis se laḌeñ

    aur to koī batātā nahīñ is shahr haal

    ishtihārāt dīvār ke paḌh kar dekheñ

    yaañ to sab log haiñ dastār-e-fazīlat bāñdhe

    koī ham jo ho mahfil meñ to ham bhī baiTheñ

    jitne sāthī the vo is bhiiḌ meñ sab kho.e ga.e

    ab to sab ek se lagte haiñ kise ham DhūñDheñ

    ghar vīrānī talab kartī hai din bhar hisāb

    ham ko ye fikr zarā shaam ko bāhar nikleñ

    ḳhvāb dekhe nahīñ ḳhvāboñ tamanna hai

    raat kis tarh se kaaTī hai ye kyā 'arz kareñ

    hāsil-e-'umr bas ik kāsa-e-ḳhālī kyoñ ho

    aur kuchh bas na chale zahr se is ko bhar leñ

    ham se kyoñ pūchhte haiñ vaqt raftār haal

    aap kyoñ ḳhud na masnad se utar kar dekheñ

    dil pe ik bojh rakkhā hai kisī taur haTe

    varaq-e-sāda mayassar ho to ham bhī likkheñ

    kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen

    ek se ek abu-jehl hai kis kis se laDen

    aur to koi batata nahin is shahr ka haal

    ishtihaaraat hi diwar ke paDh kar dekhen

    yan to sab log hain dastar-e-fazilat bandhe

    koi hum sa jo ho mahfil mein to hum bhi baiThen

    jitne sathi the wo is bhiD mein sab khoe gae

    ab to sab ek se lagte hain kise hum DhunDhen

    ghar ki virani talab karti hai din bhar ka hisab

    hum ko ye fikr zara sham ko bahar niklen

    KHwab dekhe nahin KHwabon ki tamanna ki hai

    raat kis tarh se kaTi hai ye kya 'arz karen

    hasil-e-'umr bas ek kasa-e-KHali kyon ho

    aur kuchh bas na chale zahr se is ko bhar len

    hum se kyon puchhte hain waqt ki raftar ka haal

    aap kyon KHud hi na masnad se utar kar dekhen

    dil pe ek bojh sa rakkha hai kisi taur haTe

    waraq-e-sada mayassar ho to hum bhi likkhen

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 85)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now