kya sach-much aap mere pas aana chahte hain
kyā sach-much aap mere paas aanā chāhte haiñ
yā sirf mere dil ko dahlānā chāhte haiñ
saarī haqīqatoñ kī sham'oñ kī lau katar do
ab log raushnī kā afsāna chāhte haiñ
āġhosh-e-vasl ab bhī kitnī rivāyatī hai
shādī-shuda badan bhī sharmānā chāhte haiñ
sab masjideñ girā kar sab mandiroñ ko Dhā kar
ham ik sharāb-ḳhāna banvānā chāhte haiñ
bhar jaa.eñ sab purāne zaḳhmoñ se koī kah de
kitne bahut se taaza zaḳhm aanā chāhte haiñ
ham kitnā chāhte haiñ ab tujh se kyā batā.eñ
chaubīs ghanTe har pal rozāna chāhte haiñ
paanī kā bulbula bhī kahte haiñ aap is ko
phir aap is badan ko kyoñ paanā chāhte haiñ
‘ehsās-farhat’ ab haiñ kal the jo 'farhat-ehsās'
dīvān apnā ulTā chhapvānā chāhte haiñ
kya sach-much aap mere pas aana chahte hain
ya sirf mere dil ko dahlana chahte hain
sari haqiqaton ki sham'on ki lau katar do
ab log raushni ka afsana chahte hain
aaghosh-e-wasl ab bhi kitni riwayati hai
shadi-shuda badan bhi sharmana chahte hain
sab masjiden gira kar sab mandiron ko Dha kar
hum ek sharab-KHana banwana chahte hain
bhar jaen sab purane zaKHmon se koi kah de
kitne bahut se taza zaKHm aana chahte hain
hum kitna chahte hain ab tujh se kya bataen
chaubis ghanTe har pal rozana chahte hain
pani ka bulbula bhi kahte hain aap is ko
phir aap is badan ko kyon pana chahte hain
‘ehsas-farhat’ ab hain kal the jo 'farhat-ehsas'
diwan apna ulTa chhapwana chahte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 123)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.