kya sarguzasht kahte ek nawak-e-nazar ki
kyā sarguzasht kahte ik nāvak-e-nazar kī
kāvish 'azāb-e-jāñ hai apne dil-o-jigar kī
furqat meñ terī ham ne yuuñ zindagī basar kī
mar-mar ke shab guzārī ro-ro ke har sahar kī
ik barq-e-nāz chamkī ḳhalvat se jab nazar kī
hai ḳhuub parda-dārī us shoḳh parda-dar kī
ham ḳhud hī DhūñD leñge ai ḳhizr apnī manzil
hājat nahīñ hai ham ko gum-gashta rāhbar kī
kyūñkar bachā.e koī mā'sūm dil ko apne
ik ik adā ġhazab hai us shoḳh fitna-gar kī
qaid-e-qafas meñ ab tak bhūle hue the gulshan
phir yaad aa rahī hai sayyād bāl-o-par kī
ḳhalvat-nashīñ hai maanā vo shāhid-e-ḳhud-ārā
har-sū usī ko paayā jab ġhaur se nazar kī
dā'vā-e-ittiqā thā zāhid se pārsā ko
mad.hosh kar ke chhoḌā saaqī ne jab nazar kī
pur-kaif rūh-parvar rashk-e-sharāb-e-kausar
ik ghūñT tū bhī pī le zāhid khiñchī hai ghar kī
sūfī-e-pāk-tīnat muftī-e-bā-sharī’at
karte haiñ ḳhāk-bosī pīr-e-muġhāñ ke dar kī
har naqsh-e-pā pe sajde 'sābit' yūñhī kiye jā
mil jā.egī kabhī to ḳhaak un ke rah-guzar kī
kya sarguzasht kahte ek nawak-e-nazar ki
kawish 'azab-e-jaan hai apne dil-o-jigar ki
furqat mein teri hum ne yun zindagi basar ki
mar-mar ke shab guzari ro-ro ke har sahar ki
ek barq-e-naz chamki KHalwat se jab nazar ki
hai KHub parda-dari us shoKH parda-dar ki
hum KHud hi DhunD lenge ai KHizr apni manzil
hajat nahin hai hum ko gum-gashta rahbar ki
kyunkar bachae koi ma'sum dil ko apne
ek ek ada ghazab hai us shoKH fitna-gar ki
qaid-e-qafas mein ab tak bhule hue the gulshan
phir yaad aa rahi hai sayyaad baal-o-par ki
KHalwat-nashin hai mana wo shahid-e-KHud-ara
har-su usi ko paya jab ghaur se nazar ki
da'wa-e-ittiqa tha zahid se parsa ko
madhosh kar ke chhoDa saqi ne jab nazar ki
pur-kaif ruh-parwar rashk-e-sharab-e-kausar
ek ghunT tu bhi pi le zahid khinchi hai ghar ki
sufi-e-pak-tinat mufti-e-ba-shari’at
karte hain KHak-bosi pir-e-mughan ke dar ki
har naqsh-e-pa pe sajde 'sabit' yunhi kiye ja
mil jaegi kabhi to KHak un ke rah-guzar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.