kya zist tabah ho gai hai
kyā ziist tabāh ho ga.ī hai
har saañs ik aah ho ga.ī hai
uThtī hī nahīñ kisī taraf ab
māyūs nigāh ho ga.ī hai
kyā chiiz hai bandagī ki aksar
tā'at bhī gunāh ho ga.ī hai
ai vaqt na pūchh tere hāthoñ
kyā chiiz tabāh ho ga.ī hai
jaatī thī kabhī jo dil se dil tak
masdūd vo raah ho ga.ī hai
paḌte hī jabīn-e-vaqt par bal
kaj apnī kulāh ho ga.ī hai
barbādī-e-dil ke saath 'bismil'
duniyā hī tabāh ho ga.ī hai
kya zist tabah ho gai hai
har sans ek aah ho gai hai
uThti hi nahin kisi taraf ab
mayus nigah ho gai hai
kya chiz hai bandagi ki aksar
ta'at bhi gunah ho gai hai
ai waqt na puchh tere hathon
kya chiz tabah ho gai hai
jati thi kabhi jo dil se dil tak
masdud wo rah ho gai hai
paDte hi jabin-e-waqt par bal
kaj apni kulah ho gai hai
barbaadi-e-dil ke sath 'bismil'
duniya hi tabah ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.