kyon faza mein dilkashi thi raat kya tum aae the

kyon faza mein dilkashi thi raat kya tum aae the
Shaad Fidai Dehlvi
MORE BYShaad Fidai Dehlvi
kyoñ fazā meñ dilkashī thī raat kyā tum aa.e the
raushnī hī raushnī thī raat kyā tum aa.e the
ek ḳhushbū sī uḌī thī raat kyā tum aa.e the
ruuh tak mahkī huī thī raat kyā tum aa.e the
ek aahaT to sunī thī raat kyā tum aa.e the
dil pe dastak bhī huī thī raat kyā tum aa.e the
kis ke istiqbāl ko be-jān manzar jaag uThe
ruuh kis ne phūñk dī thī raat kyā tum aa.e the
haath kis ne rakh diyā thā muztarib dil par mire
chain se niiñd aa ga.ī thī raat kyā tum aa.e the
ik karishma hai marīz-e-'ishq kā uTh baiThnā
nabz to Duubī huī thī raat kyā tum aa.e the
kaif meñ Duubī huī thī vajd meñ thī kā.enāt
kis ke naġhme gā rahī thī raat kyā tum aa.e the
zarra zarra nuur ke TukḌoñ meñ jaise baT gayā
chāñdnī bikhrī huī thī raat kyā tum aa.e the
dekhne vāloñ meñ hoñge 'shād' bhī nāshād bhī
mujh pe taarī be-ḳhudī thī raat kyā tum aa.e the
kyon faza mein dilkashi thi raat kya tum aae the
raushni hi raushni thi raat kya tum aae the
ek KHushbu si uDi thi raat kya tum aae the
ruh tak mahki hui thi raat kya tum aae the
ek aahaT to suni thi raat kya tum aae the
dil pe dastak bhi hui thi raat kya tum aae the
kis ke istiqbaal ko be-jaan manzar jag uThe
ruh kis ne phunk di thi raat kya tum aae the
hath kis ne rakh diya tha muztarib dil par mere
chain se nind aa gai thi raat kya tum aae the
ek karishma hai mariz-e-'ishq ka uTh baiThna
nabz to Dubi hui thi raat kya tum aae the
kaif mein Dubi hui thi wajd mein thi kaenat
kis ke naghme ga rahi thi raat kya tum aae the
zarra zarra nur ke TukDon mein jaise baT gaya
chandni bikhri hui thi raat kya tum aae the
dekhne walon mein honge 'shad' bhi nashad bhi
mujh pe tari be-KHudi thi raat kya tum aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.