kyon karen sawal aaKHir dasht ke KHudaon se

kyon karen sawal aaKHir dasht ke KHudaon se
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
kyoñ kareñ savāl āḳhir dasht ke ḳhudāoñ se
ham ko dhuup pyārī hai zillatoñ kī chhāoñ se
ye nahīñ samajhtī haiñ dard be-libāsī kā
is liye maiñ bachtā huuñ sar-phirī havāoñ se
jab talak chhupe the ġham the baḌe sukūñ meñ ham
aa ga.e maraz bāhar aap kī davāoñ se
mujh pe kyā guzartī hai tū bhī jaan jā.egā
jab tirā guzar hogā 'ishq meñ ḳhalāoñ se
us ke baa'd socheñge ham kisī ke baare meñ
bach ga.e agar zinda aap kī adāoñ se
kyon karen sawal aaKHir dasht ke KHudaon se
hum ko dhup pyari hai zillaton ki chhaon se
ye nahin samajhti hain dard be-libasi ka
is liye main bachta hun sar-phiri hawaon se
jab talak chhupe the gham the baDe sukun mein hum
aa gae maraz bahar aap ki dawaon se
mujh pe kya guzarti hai tu bhi jaan jaega
jab tera guzar hoga 'ishq mein KHalaon se
us ke ba'd sochenge hum kisi ke bare mein
bach gae agar zinda aap ki adaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.